Monday 9 April 2012

Lyrics of Kya Jeena by Rahat Fateh Ali Khan

Song Details:-
Song Name: Kya Jeena
Album: I Am Singh
Singer(s): Rahat Fateh Ali Khan
Music Composer: Sudhakar Dutt Sharma
Length: 5:00
Music Label: Sony Music

Kya Jeena Lyrics

Kya jeena, kya marna, tere bina hai, sab gunah karna
Gunak karna, har lamha, har lamha, hai tanha tanha
Har ik lamhe ko, bas tabah karna, tabah karna
Kya jeena (kya jeena), kya marna (kya marna), tere bina hai (tere bina hai), sab gunah karna
Sab gunah karna
Har lamha, har lamha, hai tanha tanha (hai tanha tanha)
Har ik lamhe ko (har ik lamhe ko), bas tabah karna (bas tabah karna), tabah karna
Kya jeena, kya jeena

Tanhaiyon se keh do mere paas na aaye
Veeraniyon se keh do kahin aur hi jaaye
Dil mein nahin hai mere koi ghum ke liye jaga
Har sutra junoon hi khushiyon ki bana wajah
Doori se doori si, doori se ab kya darna
Yaadon se teri hai ab nibah karna, nibah karna
Kya jeena, kya jeena

Deewangi ki sarhad ab todh denge hum
Tere junoon mein duniya ab chodh denge hum
Behte hue lahu mein mehfooz hai bas tu
Tera karoon main sajda bas tuhi aarzoo
Ishq hai, ishq hai, ishq hai parwah karna
Ik doosre mein bas jiya karna, jiya karna
Kya jeena, kya jeena

Teri kashish ne mujhko haan bekhud bana diya
Jeena hua tha doobar par tune jila diya
Armaan hue hain bhaagi haan bhaagi hua hoon main
Sab kuch tera hua hai haan tera hua hoon main
Khwaish hai, khwaish hai, khwaish hai sang sang rehna
Rooh mein teri bas fanaa hona, fanaa hona
Kya jeena, kya marna, tere bina hai, tere bina hai, sab gunah karna, sab gunah karna
Har lamha (har lamha), har lamha, hai tanha tanha
Har ik lamhe ko, bas tabah karna, tabah karna
Kya jeena, kya jeena

No comments :

Post a Comment